अपने अवसर को पहचानें उसका इंतेज़ार मत करें ( Don't Wait Opportunity Create It)

अपने अवसर ( Opportunity) को पहचानें:-

zindagi apko har din har pal ek naya moka deti hain..jisko sirf or sirf apko hi phechanna hain..me ek khani batana chahugi ek dharm guru hote hain jo sachhe mn se bhagwan ki puja  dil se krte hain apna har dharm or kartavya pura krte hain..unko bhagwan pr bhot ziyada vishvas tha..unki sachi shrdha thi..bhagwan ye dekhkr bhot khush hote hai.. bhagwan ke pass narandmuni prakat hote hain or bjagwan se khete hai ye manav ka kitna vishwas hai aap par har shan apke liye ..dekhye prabhu kese leen hai apki bhkti me..kintu agr iss par koi musibat aati hain to aap isko bachaege..bhagwan khete hai..me avashya isko rup badal kr bachauga..kyuki ye mera bhakt hain..bs bhavishy me koi murkhta na kre toh!
nardmuni
kuch waqt guzrne ke bad ek din jha wo manav (Rishi) rehta tha wha tabahi aa gai manav(Rishi) puri bhakti me leen hokr issi aas pr bhagwan mujhe bachage wo ankhe mund kr tapsya me jut gae..
bhagwan aate hain insani rup pure gaon ke sath or khete hain yaha se chalo rishiwar aap dub kar mar jaege lekin rishi nhi jate..phir ek or shks  rishi g ke pass aata hai or kheta hai yaha pr pani aa gya hai mere pass naav (boat) hain usme jgha khli hai beth jao..rishi bole nhi! mujhe bhagwan zarur aaege bachene..or wo dusri baar bhi mana kr dete hain..

boathelicopter
thodi der baad pani ka bhav or tez ho gya wha se ek helicopter guzr raha tha to pilot rishi-muni se kaha rishi g pani upr tak bhar gya hai aap dub jaoge me rassi neeche phk deta hu aap upr chadh jao or chalo mere sath jaan bach jaegi..Rishi g ne kaha nhi mere bhagwan mujhe bachaege..issi trha se teeno baar mana kr diya..Akhir kar pure gaon me pani bhar gya or rishi g dub gae..or bhagwan ko piyare ho gae..
 
Bhagwan narad-muni or Rishi-muni ek sath thai tb Rishi G ne Bhaagwan se kaha hae Bhagwan meri aradhna me kaha kami reh gai thi..jo aap mujhe bachane nhi aae..mene toh apki ass me kisi se madad nhi li..kintu aap apne sache bhakt ke pass kyu nhi aae..Narad-Muni ne bhi Bhagwan se kaha ..apne toh mujhe bhi yahi kaha tha ki aap apne piyare bhakat ko bachaege jb wo duvidha me hoga kintu bhangwant aapne aesa nhi kia.. bhagwan ne uttar diya..Narad-Muni ko hae Naradh mene kaha tha me kisi na kisi rup me jakr avashay bachaoga..jo ki mene kiya.. 
story
Rishi G khete hai hae bhagwant mujhe btao, aapne mere sath aesa kyu kia ..aap mujhe bachane kyu nahi aae?mene puri zindagi tere naam ki teri puja ki phir bhi nahi aae?
Bhagwan! ne kha priye bhakt tm mere liye bhot anmol ho tmhri bhakti se me bhot khush hu..tmhri sadhna mere liye anmol hai.. kintu mene tumhe bachne k liye kai rup dharan phela gaon walo ke sath aaya..dusri baar  naav (Boat) wala bankr  toh kabhi tisri baar Helicopter wala bankar aaya.. kai sadhan bheje kintu tmne koi madad swikar nhi ki.. me khud thodi aata ..mera rup hi to har jgha aata hai..jo mene tere liye bheje thai par tum murkh or bewakuf nike mere diye hue vardan tm smjh nhi ape wo me hi tha jo bachne aa rha tha tmne smjha nhi or mritiyu ko piyare ho gae or swarg me aa gae..! tm murkh ho tm mere diye awsar ko phechan nhi pae mene teen baar bachane aaaya tha! teeno baar tmne murkhta ki.. jo apne awsar ko nhi phechante wo iss maya me kho jate hain to zindagi bhar intezar krte reh jate hain.. moka hai abhi bhi apni band ankhe kholo tmhara awsar bhi tmhare pass ho.. isliye kal par kuch mat talo jo hai abhi hai aaj hai isi samy hai..isko moka kehte hai ...

Moral Of The Story

Upar wala hume bhot sare  moke dete hain zindagi me aage badhne k liye or hum na jane kis ka intezar kar rhae hote hai or jab wo moka gawa dete hai to shikayat krte hai bilkul rishi g ki trha.. isliye intezar mat kro kuch kaam kro aage badho.. apne liye khud awsar  (opportunity) dete hain.. bas aapko phechanne ki der hai..kyuki ek baat par ade rehene se wo moka nikal jata hai .. bad me pachtawe ke alawa kuch hath nhi lgta.. bhagwan khud nhi aaege.. wo kisi na kisi rup me awsar dege phechanna aapko hain or aage bdhna hain..nhi to moka hath se nikal jaega.. Rishi ki trha...

Comments